Heard these two ghazals yet once again this weekend. Posting’em here for ya’all ![]()
ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahuuN harr cheez muqaabil aa jaaey
ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahuuN harr cheez muqaabil aa jaaey
manzil ke liye do gaam chaluuN aur saamane manzil aa jaaey
ai dil kii Khalish chal yuuN hii sahii, chaltaa to huuN unkii mehfil meyN
uss waqt mujhey chaunkaa denaa jab rangg pe mehfil aa jaaey
ai rahabar-e-kaamil chalney ko tayyaar to huuN par yaad rahe
us vaqt mujhe bhaTkaa denaa jab saamane manzil aa jaaey
haaN yaad mujhe tum kar lenaa aawaaz mujhe tum de lenaa
is raah-e-muhabbat meyN koi darpaish jo mushkil aa jaaey
ab kyuuN DhuuNDhu wo chashm-e-karam hone de sitam, balaa-e-sitam
maiN chaahtaa huuN ai jazbaa-e-Gam mushkil pas-e-mushkil aa jaaey
iss jazba-e-dil ke baare meyN ikk mashwaraa tum se letaa huuN
uss waqt mujhey kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaey
ai barq-e-tajalli kyaa tuune mujhko bhii muusaa samjhaa hai
maiN tuur nahiiN jo jal jaauuN, jo chaahe muqaabil aa jaaey
chupke chupke raat din aaNsuu bahanaa yaad hai
by Hasrat Mohani
in voice of Ghulam Ali
chupke chupke raat din aaNsuu bahanaa yaad hai
humm ko ab tak aashiqii kaa wo zamaanaa yaad hai
baahzaaraaN iztiraab-o-sadhazaaraaN ishtiyaaq
tujhse wo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai
tujhse milte hii wo bebaak ho jaanaa meraa
aur teraa daantoN meyN wo ungalii dabaanaa yaad hai
khiinch lenaa wo meraa parde kaa konaa daffatan
aur dupaTTe se teraa wo muuNh chhupaanaa yaad hai
jaan kar sotaa tujhe wo qasa-e-paabosii meraa
aur teraa Thukraa ke sar wo muskuraanaa yaad hai
tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
hal-e-dil baatoN hii baatoN meyN jataanaa yaad hai
jab siwaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
sach kaho kyaa tum ko bhii wo kaarKhaanaa yaad hai
Ghair kii nazaroN se bachkar sab kii marzii ke Khilaaf
wo teraa chorii chhipe raatoN ko aanaa yaad hai
aa gaya gar wasl kii shab bhii kahiiN zikr-e-firaaq
wo teraa ro ro ke mujhko bhii rulaanaa yaad hai
do-pahar kii dhuup meyN mere bulaane ke liye
wo teraa kothe pe nange paaoN aanaa yaad hai
dekhnaa mujhko jo bargashtaa to sau sau naaz se
jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai
chori chori humm se tumm aa kar mile the jis jagah
muddateN guzariiN par ab takk wo thikaanaa yaad hai
beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaaN
aur teraa hathoN meyN wo kangann ghumaanaa yaad hai
waqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahne ke liye
wo tere sukhe laboN kaa thar-tharaanaa yaad hai
baawajuud-e-iddaa-e-ittaqaa ‘Hasrat’ mujhe
aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai
[This message has been edited by Umar Talib (edited March 08, 1999).]