AQ
1
ThoRi mushkil nazm ho sakti hai for some of you… it’s by Allama Iqbal 
let me know if any word or words are alien to you … Maasoom Muskaan say chupnaY waala icon :p]
Khudaa say hus’n nay ik roz yeh sawaal kiyaa
JahaaN maiN kiouN na mujhay tu nay laazawaal kiyaa?
Millaa jawaab kay tasveer khaanaa hay duniyaa
Shabb-e-daraaz ad’m kaa fassaanaa hay duniyaa
Huee hay rang-e-taghaiuur say jub namood iss kee
Wohi haseeN hay haqeeqat zawaal hay jiss kee
KahiN qareeb thaa, ye guftugu qamar nay sunee
Falak pay aamm huee, Akhtar-e-seh’r nay sunee
Seh’r nay taaray say sunn kar sunaaie shabnam ko
Falak kee baat bataa dee zameeN kay mehramm ko
Bhar aaye phool kay aansoo piyaam-e-shabnam say
kali ka nanhaa saa dil khoon ho gayaa ghamm say
Chaman say rotaa huaa Mosam-e-Bahaar gayaa
Shabaab sayr ko aayaa thaa, sogwaar gayaa
Re: Reality of Beauty …
kaha chopa rehe 
beauty kaha ke jo semg nehe ae
Re: Reality of Beauty …
shab e daraz,
ad’m
rang e thaguir
namood
QAMAR
:aq: sabke meaning butao :aq:
TLK
4
Shab e daraz >>> Night inside a Drawer
Ad’m >>> a very short Admi, a dwarf
Rang e thaguir >> ghair Rang >> Strange color
namood >> the one whose mood is off
Qamar >> AQ ki gali ke paan wale kaa naam
AQ
7
shab e daraz = long night
ad’m = to disappear
rang e thaguir = constantly changing colors/variable colors
namood = appearance
QAMAR = moon
khamosh
un se acha koyi vi nehein 
Re: Reality of Beauty …
…TLK u messed my head…
AQ thankooo it makes more sense now 
TLK
11
Chalo, yeah bhi mera qussor hai ke your head is messed up
Re: Reality of Beauty …
nooo its not ur qasoor but u messed it up 
TLK
13
Re: Reality of Beauty …
tumharay sar main joo’ain zyadaa ho gai hain. check karwalo
Re: Reality of Beauty …
Boht khoob…
hume pasand aya …
humare lie aur geet shair ghazalein or ganon ka intezam kia jae…

HUM MALKA HEIN:shikra:
Re: Reality of Beauty …
Apne ghar ki malika hogi…
pata nehee kaha se chale atey hen logon ko bewakoof banane 
Re: Reality of Beauty ...
Malika: are u kb?
Re: Reality of Beauty ...
very delicat poetry. only Iqbal can render.
thanks for sharing AQ.
Re: Reality of Beauty ...
Just Amazing by him , Thanks for sharing Anwaar, great Job :-)