Rodaad-e-qafas yaad na andaaz-e-fughan yaad Jo beet gai beet gai ab wo yaad kahan yaad Tum bhool gaye ham ko to kya iss main ta-ajub Iss daor main karta hay kisay,kon,kahan yaad Kafi thi tabahi kay liyay gardish-e-daoran Tum aise main kiun aa gaye ay jan-e-jahan yaad Apne se raqabat ka ye alam hay keh taoba Ham bhool gay khud ko wo aye hain jahan yaad Maazi kay dareeche se kabhi jhank kay daikh Shayad tujhe aa jaye mera nam-o-nishaan yaad...
Tum bhool gaye ham ko to kya iss main ta-ajub
Iss daor main karta hay kisay,kon,kahan yaad
Main waise hi jamaane se pareshan hu kaafi
Mere dil ki baaten.. jamaane tak na pahunchao