RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

Rodaad-e-qafas yaad na andaaz-e-fughan yaad
Jo beet gai beet gai ab wo yaad kahan yaad
Tum bhool gaye ham ko to kya iss main ta-ajub
Iss daor main karta hay kisay,kon,kahan yaad
Kafi thi tabahi kay liyay gardish-e-daoran
Tum aise main kiun aa gaye ay jan-e-jahan yaad
Apne se raqabat ka ye alam hay keh taoba
Ham bhool gay khud ko wo aye hain jahan yaad
Maazi kay dareeche se kabhi jhank kay daikh
Shayad tujhe aa jaye mera nam-o-nishaan yaad…

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

Maazi kay dareeche se kabhi jhank kay daikh
Shayad tujhe aa jaye mera nam-o-nishaan yaad...

Bohat khoob jee

**salaam Shazia Ji,

aapke is umda intiKhaab ne mujhe ek aur yaad dilaa di. arsa huaa maiN ne kisii dusrii urdu kii anjuman meN do GhazleN post kii thiiN jinkii zameen aapkii pesh karda Ghazal kii zameen meN haiN...sochaa aap ko dikhaa duuN vo post. to mulaaHizah farmaaiye:**


                      **aadaab dosto,

aaj maiN aapkii Khidmat meN do dostoN kii aisii Ghazlen le kar aayaa huuN jo ek dusre kii hu-ba-hu naql lagtii haiN. pahli Ghazal Jigar Muradabadii kii hai jab k duusrii mere vaalid marHoom kii hai. yeh donoN ek hii 'azeem shaa'ir ke shaagird the jinkaa nama thaa janaab e maulvi AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii.

to, aap GhazleN mulaahizah farmaaiye aur dekhiiye k kis qadar kalaam meN mumaasilat paaii jaatii hai. shukria.

faqat Khaak_nashiiN,

_______Hashmat

Jigar Muradabadi kii Ghazal:****

1.
dunyaa ke sitam yaad na apnii hi vafaa yaad
ab mujh ko nahiiN kuchh bhii muHabbat ke sivaa yaad

2.
maiN shakvaa_ba_lab thaa, mujhe yeh bhii na rahaa yaad
shaayad k mire bhuulane_vaale ne kiyaa yaad

3.
jab koii HasiiN hotaa hai sar_garm-e-navaazish
us vaqt vo kuchh aur bhii aate haiN sivaa yaad

4.
muddat huii ik Haadsa-e-'ishq ko, lekin
ab tak hai tire dil ke dhaRakne kii sadaa yaad

5.
haaN, haaN! tujhe kia kaam mire shiddat-e-Gham se
haaN, haaN! nahiiN mujh ko tire daaman kii havaa yaad

6.
maiN tark-e-rah_o_rasm-e-junuuN kar hii chukaa thaa
kiuN aa gaii aise meN tirii laGhzish-e-paa yaad

7.
kia lutf k maiN apnaa pataa aap bataauuN
kiije koii bhuulii huii Khaas apnii adaa yaad

vaalid marHoom kii Ghazal:**

**1.
ab hijr kaa shakwa na taGhaaful kaa gilaa yaad
aaii jo tirii yaad to kuchh bhii na rahaa yaad

2.
sab Gham the faraamosh, jahaan tujh ko kiyaa yaad
har dard kii hai mujh ko yehii ek davaa yaad

3.
rah jaaye agar kuchh bhii tire Gham ke sivaa yaad
vo hosh bhii kia hosh hai, vo yaad bhii kia yaad

4.
vo na'ra-e-Haq yaad, na vo josh-e-fanaa yaad
ab pairav-e-"Mansoor" ko hai sirf "anaa!" yaad

5.
saiyaad ne is tarHa sajaayaa hai qafas ko
aatii nahiiN ab mujh ko nasheman kii fazaa yaad

6.
hai daad ke qaabil miri tajdeed-e-tasavvur
kartaa huuN tujhe Ghair kii maHfil se judaa yaad**
<!--Session data--><!--Session data--><!--Session data--><!--Session data--><!--Session data--><!--Session data-->

very Nice :k:

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

Bohat Khoob Shazia & Hashmat...

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD…

:konfused: jitni samajh aai..bohat achi thee :k: ..jo baaqi samajh nahi aai.. uskay liyah maafi chahtee hoon :frowning:

thank you Aryan :)
<!--Session data-->

thank you Aryan :)
<!--Session data-->
<!--Session data-->

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

nice sharing Shazia

and thanks

Hashmat Sahib

Wow very nice Shazia and Hashmat:)

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

kia kehnay ji.....intihai aala paye ki shairi hai....thanx shazia n hashmat

Tum bhool gaye ham ko to kya iss main ta-ajub
Iss daor main karta hay kisay,kon,kahan yaad

Main waise hi jamaane se pareshan hu kaafi
Mere dil ki baaten.. jamaane tak na pahunchao

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

thanx 4 likin tere naam, aryan,dania,shab, saqijani,mudii,eyes on sky and rajey.

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

buhat achi sharing shazia .... kia aap kissi aur forum par bhi poetry sharing waghaira karti hain ???????

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

thanku so much hashmat, mujhe ye poem sms se mili thi to ho skta hai adhi ai ho & ye kehna nai bhulun gi k jab ap mere kisi work pe comment kerte hain to ap ka nam parh k he lal jhandi nazer ane lgti hai ya khatre ka nishaan ban jata k ab pata nai kya ghalti sar zad ho gai.

thanku sannan bt main to bus g.s pe he post kerti hoon

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

actually i think when u post from ms word or some where else then font size does not match with GS so that's why u find [size=] ... u can edit it as it looks bad and hard to read[/size]

ok i'll do that, first time to bohat ajeeb sa tha bt sid ne guide ker dia tha bt so khyal rkhoon gi.[/size]

Re: RDAAD-E-QAFAS YAAD NA ANDAAZ-E-FUGHAN YAAD...

No problem