Yey zuroori naheiN her shakhs masiha hi ho
Piyaar kay zakhm amanat heiN dikhaya na karo
Shehr~e~ehsaas meiN pathrao buhot heiN ~Mohsin~
Dil ko shishay kay jharooNkooN meiN sajaya na karo
Bohaat kHooob ...Barha hi Umdaa Zauq hai aapkaa
Daiyaar-e-MagHrib se jaane walo!daiyaar-e-Mashriq ke BaasioN ko
Kisi gHareeb-ul-Watan Musafir ki ChaahtoN ka salaam kehnaa
Hamaare Shaam-o-Sehar ka keya Haal poocHte ho ke lam'haa lam'haa
Naseeb in ka bana rahe haiN tumhaare hi Sub'ho Shaam kehnaa