Jab aglay saal yehi waqat aa reha ho ga
Koun janta hay koun kis jagah ho ga
Tou meray samne baitha hay aur mai souchta houn
kay atay lumhoun mai jeena be ek saza ho ga
yehi damkatay hovay pal dhouwan dhouwan houn gye
yehi chamkta hova din bujha bujha ho ga
lahu rulaye ga wo dhoup chayoun ka manzer
nazar uthayoun ga jis simut jhutpeta sa ho ga
yehi jegah jehan aaj hum mil bhaithay hain
essi jegah per kal janay kia ho ga