* Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

Rat-jagoN kay Sehraa meiN khawaab jab Ujar jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Zindagii kay melay meiN hum agar bichaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jin peh naam likhaiN hoN
in ujaaR shaakhoN par kab bahaar aati hay
Arzoo kii Tehnii say jab Gulaab JhahR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jaan! kyaa zarurii hay Dasht-e-Naarsaaii meiN
Ik duaa bhii puurii ho
Hum agar rawaajon kii sooliyoN pe gaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Waqt ik darindah hay aur hum sabhii
Iskii dahshatoN kii zad meiN haiN
Jab yeh be-sakuN lamhay apnii Zid pe aR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jabr kii fazaaoN meiN muskuraa kay jii lenaa
yeh bhi ik Ibaadat hay
chaahay Karb kay Saaey meray Qad say baRh jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Kuch bhii ho magar apnay Dil-nasheeN Tabasum say
Zabt kaa bharam rakhnaa
ChaahaiN hum bichaR jaaiN KyuN na hum UjaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa

Very nice thanks for sharing

and good to see you back

humm
udass rehnay ki bhi azadi nahi .. khoob

Re: * Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

simply the best , very nice , buhat khoooooooob :k: thanks for sharing
:slight_smile:

Very nice Gul ji :)

bouhat khoob.... my fav..

Beautiful, zabardast :k:

waqaii main bohat achi hai :k::k::slight_smile:

:k:

Re: * Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
*

Rat-jagoN kay Sehraa meiN khawaab jab Ujar jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Zindagii kay melay meiN hum agar bichaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jin peh naam likhaiN hoN
in ujaaR shaakhoN par kab bahaar aati hay
Arzoo kii Tehnii say jab Gulaab JhahR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jaan! kyaa zarurii hay Dasht-e-Naarsaaii meiN
Ik duaa bhii puurii ho
Hum agar rawaajon kii sooliyoN pe gaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Waqt ik darindah hay aur hum sabhii
Iskii dahshatoN kii zad meiN haiN
Jab yeh be-sakuN lamhay apnii Zid pe aR jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Jabr kii fazaaoN meiN muskuraa kay jii lenaa
yeh bhi ik Ibaadat hay
chaahay Karb kay Saaey meray Qad say baRh jaaiN
Tum Udaas mat honaa
Kuch bhii ho magar apnay Dil-nasheeN Tabasum say
Zabt kaa bharam rakhnaa
ChaahaiN hum bichaR jaaiN KyuN na hum UjaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa

  • [/QUOTE]

goood work...............

Re: * Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

:teary1: :crying:

ChaahaiN hum bichaR jaaiN KyuN na hum UjaR jaaiN
Tum Udaas mat honaa :teary2:

Re: * Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

Lovely poem Gul:k:Thanx for sharing.

Re: * Rat-jagoN kay Sehraa meiN *

buhat pyari nazm he Gul :flower1:…per bhala udaasi pe bhi kissi ka zoor chalta he

Great poem …:k: