Aik Ghazal,
Rastay Ka Intikhaab Zaruri Sa Ho Gaya
Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaruri Sa Ho Gaya
Hum Chup Rahay To Aur Bhi Ilzaam Aye Ga
Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaruri Sa Ho Gaya
Hum Taal’tay Rahay Ke Ye Naubat Na Aye Gi
Phir Hijr Ka Azaab Zaruri Sa Ho Gaya
Her Shaam Jald Sonay Ki Aadat Si Par Gaii
Her Raat Aik Khuaab Zaruri Sa Ho Gaya
Aaho’n Se Toot’ta Nahi Ye Gumbad-e-Siaah
Abb Sung-e-Aaftaab Zaruri Sa Ho Gaya
Dena Hai Imtehaan Tumharay Firaaq Ka
Abb Sabrr Ka Nisaab Zaruri Sa Ho Gaya
(Aitbaar Sajid, Ek Ishq Xaruri Hai)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,