Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

**Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona.
meri tusweer ko seeny sy laga kar sona.

choom leny do humen nurgasi aankhiN apni,
phir bary shouq sy pulkoN ko jhuka kar sona.

marmari bahiN kahiN dukh na jaen karwat lety,
reshmi bistar pe phooloN ko bicha kar sona.

mera dawa hy k parwaane tumhen dhoondy gy,
imtehaN chao to shuma ko bujha kar sona.

lag na jaey betaab sitaroN ki nazar,
chaand sy chehry ko anchal main chupa kar sona.**

Re: Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

**mera dawa hy k parwaane tumhen dhoondy gy,
imtehaN chao to shuma ko bujha kar sona.

kiyun uss ne kaan main fanoos pehna huwa hai?
**

Re: Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

Fanoos pehna hota to wo K.E.S.C walon k reham-o-karam pay hoti.....

Re: Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

phir parwano ka kya kaam????

Re: Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

woh mom battian jala kar soti hogi.

Re: Rasm-e-ulfat zara sarkar nibah kar sona...

bijli na ho to mom batti hi jalani parti hai