ruuh bechain hai ik dil kii aziiyat kyaa hai
dil hii sholaa hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai
vo mujhe bhuul ga_ii iskii shikaayat kyaa hai
ranj to ye hai ke ro-roke bhulaayaa hogaa
vo kahaaN aur kahaaN kaahif-e-Gam sozish-e-jaaN
us kii rangiin nazar aur nuquush-e-hirmaaN
us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaaN
taanaazan ek zamaanaa nazar aayaa hogaa
jhuk ga_ii hogii javaaN-saal umangon kii jabiin
miT ga_ii hogii lalak Duub gayaa hogaa yaqiin
chhaa gayaa hogaa dhuaaN ghuum ga_ii hogii zamiin
apane pahale hii gharonde ko jo Dhaayaa hogaa
dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaaye hoNge
ashk aaNkhon ne piye aur na bahaaye hoNge
band kamare mein jo Khat mere jalaaye hoiNge
ek-ik harf jabiin par ubhar aayaa hogaa
us ne ghabaraake nazar laakh bachaa_ii hogii
miTake ik naqsh ne sau shaql dikhaa_ii hogii
mez se jab merii tasviir haTaa_ii hogii
har taraf mujh ko taaptaa huaa paayaa hogaa
bemahal chheD pe jazbaat ubal aaye hoNge
Gam pashemaan tabassum mein Dhal aaye hoNge
naam par mere jab aa.Nsuu nikal aaye hoonge
sar na kaaNdhe se sahalii ke uThaayaa hogaa
zulf zid kar ke kisii ne jo banaa_ii hogii
ruuThw jalvo.N pe Khizaa.N aur bhii chhaa_ii hogii
barq ashvo.N ne ka_ii din na giraa_ii hogii
rang chehare pe ka_ii roz na aayaa hogaa
hoke majabuur mujhe us ne bhulaayaa hogaa
zahar chup kar ke davaa jaan ke Khaayaa hogaa