Re: ~ RanJ ~ by Munir Niazi
Jab tak raha main saath mairay yeh hunar raha
Subh e safr ki raat thi,taaray thay aur hawa
Saaya sa aik dair tak baam par raha
Mairi sadaa hawa main buhat dor tak gaee Par main bula raha tha jissay'bay khabar raha
Guzri hay kiya mazay say khayaloo'n main zindagi Doorii ka yeh ta'lism barra kaargar raha
Khauf aasmaan kay saath tha sar per jhuka hova
Koi hay bhi ya naheen hay'yahi dil main dar raha
Us aakhiri nazar main barra dard tha Munir
Jaanay ka us kay RANJ mujhay numer bhar raha