rang tha roshni tha qayamat tha
jis par ham mar mitay, qayamat tha
paas-e-awargi hamain bhi bohat
ous ko bhi eytaraf-e-wehshat tha
ham bhi takrar kay na thay khugar
who bhi na-ashniey hujat tha
khawb taabeer ban kay aatay thay
kia ajab musam-e-rifaqat tha
apnay lehjay ka bankpan sara
ous kay pindar ki amanat tha
aik ek saans qurbatoon ka gawah
har nafs lamha-e-ghaneemat tha
phir youn hoa keh toot gaya
who jo ik rishta-e-mohabbat tha