Rang Rangeeli shayari

Lets share ashaars, poetry which contain reference to colors like Neela, Peela, Kala , Safaid, etc.

I start with this:

kaali shamain saahil aur neela pani
teeno ache saathi hain

ek din thandi raet pe tanha
dekh k mujh ko lehren bolien
is neelay paani k andar
jitnay mauti hain sab chun kar
man ko khushion se tum bhar lo

ye pagli lehren kia jaanen
seep aur mauti,sona,chandi
mere sajan jaise kab hain,

Re: Rang Rangeeli shayari


Restored attachments:

Re: Rang Rangeeli shayari


Restored attachments:

Re: Rang Rangeeli shayari


Restored attachments:

Re: Rang Rangeeli shayari

**neele gagan ke tale
dhartii kaa pyaar mile!

jaane meraa dil kise DhoonDh rahaa hai in harii bhari vaadiyoN meN
kabhii na kabhii toTakraayegaa dil dil se, inhiiN aabaadiyoN meN
**
laal laal gaal, jaan ke haiN laaguu
na dekh dekh dekh, dil pe rahe qaabuu
chor chor chor, bhaag paradesii baabuu

Re: Rang Rangeeli shayari

ye to kisi movie ka song lag raha hai? :hmmm:

Neela aasman so gaya :sleep:

Re: Rang Rangeeli shayari

YUP…gaanoN kii haiyat agar she’rii taqaazoN ko puraa kare to she’r hii huaa…bechaare filmii naGhma-nigaar bhii to bunyaadii taur pe shaa’ir hii huaa karte haiN! :smiley: ab vo achchhe shaa’ir haiN yaa bure, yeh ek alag mauzoo’ hai!

vaise, kuchh filmii GhazleN kisii ustaadaanah Ghazal se kam nahiiN haiN! :slight_smile:

Re: Rang Rangeeli shayari

baja farmaya ab Naranji rung pe koi shair sunaiye

Re: Rang Rangeeli shayari

jeenay ki aarzoo dil-e-awara-gard main
jaisay kay yaad sabz ho ik fasl-e-zard main
lehron pay sar nigoon hain kanwal intizar kay
lipta huwa hay chaand udaasi ki gard main

Re: Rang Rangeeli shayari

Ye **Neela ****Asman Ko Bhi Hai Mohabbat Is Rangeen Dharti Se
Dil Ki Nazar Se Dur Tak Dekho To Simat Rahi Hai Ye Asman Dharti Se

**

Re: Rang Rangeeli shayari

ThiTharti hui shab-e-seyah woh bhi taweel tar Mohsin
hijr kay maroon pe qayamat hai yeh december

Re: Rang Rangeeli shayari

udaas logon se pyar karna koi to seekhe
safaid lamhon main rung bharna koi to seekhe

Re: Rang Rangeeli shayari

Waqt Hai Jhonka Hawa Ka,
aur Hum **
Peelay**** Pattay Faqat,
Kon Jane Aglay December,
Tum Kahan aur Hum Kahan**

Re: Rang Rangeeli shayari

yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai
hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti main
ataab alood basti main

koi khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai

Re: Rang Rangeeli shayari

ankhon main **kale kale *badal bhare hote hai
ham apane hee ashkon se dare hote hain
mazee ke tazarabat to yahee kahate hain
aisee barasat main sab jakhm *
hare ***hote hain*

Re: Rang Rangeeli shayari

tumhara haath jo aaya hai haath men meray
ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai

Re: Rang Rangeeli shayari

Akheya kise ne Majnoo kuN,
teri Laila rang di kali.
Ageyon Majnun Jatt farmaiya,
teri akh na wekhan Aali.
Chitte verk Koran de jitay siyahe rang di kali.
Akhe Ghulam Farid, jithe dil adrape,
hove rang di gori ya kali

Re: Rang Rangeeli shayari

payar kay tanha raston par giray huay yadoon kay** zard**** paton ko
nafrton ki andhiya urha lay jaty hain.

socho kay samander may uthnay wali mujain apnay rastay may anay
wali sab umeedon ko baha lay jaty hain.

na umeedy ki kali gathaon may mayusiyun kay andehron may
aik bhi chiragh roshen nahi her bar hawa meray gaher ka deep bujha jaty hay**

Re: Rang Rangeeli shayari

http://3.bp.blogspot.com/-9Awg2L98aC0/UH1PyRtZ2UI/AAAAAAAACyE/US0Vi8RjN3o/s400/ali_loves_Ali-1.jpg

Re: Rang Rangeeli shayari

http://i43.tinypic.com/igw7f5.jpg