**Rang o khushbu ke darmeyan me hai
Kon sa shakhs mere dhiyan me hai
Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan me hai
Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan me hai
Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan me hai
Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalsul sa dastaan me hai
Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan me hai
Mein nibhaon ga sarey ehad zia
Jab talak meri jaan, jaan me hai…!**