Ramzan-ul-mubarik ki duaiN

Ramzan-ul-mubarik ki duaiN

Ya duaiN haar rooz kaam az kaam aik mertaba zaroor paaR liya karaiN hasoosan iftaar kay waqat or duaa say pehlay or akhir maiN darood shareef zaroor paaR liya karaiN-

Ya Allah! humari zuban per kalimah tayaiba hamaishaN jaro raak.
Ya Allah! humaiN kamil imaan naseeb ferma or poori hadayat ata ferma-

Ya Allah humaiN pooray Ramzan ki nimataiN or anwar-o-berkaat say mala maal ata ferma-

Ya Allah ! HumaiN deen-e-Islaam per mukamil amal karnay ki tofeeq ata fera day.

Ya Allah humaiN Laila til Qader naseen ferma.

Ya Allah! HumaiN Hajj maqbool-o-meberwer ata ferma.

Ya Allah!HumaiN jhoot gheebat-o-keena laRai jhagRay fasad say door rakh.

Ya Allah humaiN taang dasti khouf-o-ghabrahat or qaraz kay boujj say door ferma.

Ya Allah! humaray saghira-o-kabeera guna maaf ferma.

Ya Allah! Hum ko dajal kay fitnay shaitan or nafas kay fitnay say mehfooz rakh.

Ya Allah! Humari ouratooN ko perday ki poori poori pabandi karnay ki toufeeq ata ferma.

Ya Allah! Haar chooti or baRi bimari say humaiN or tumaam mominooN or mouminaat ko mmehfoos rakh.

Ya Allah! HumaiN taqwa or pehaizgari ata ferma.

Ya Allah! HumaiN Hazoor Sallalaho alai wa’alihi wasalim kay piyaray tareeqay per qaim rakh.

Ya Allah! humaiN AP Sallalaho alaihi wa’alihi Wasalim ki Sunnat per chalnay ki toufeeq ata ferma.

Ya Allah! HumaiN Qiyamat kay din Hazoor Sallalaho alaihi wa’alihi Wasalim kay haath say jaam0e0kousar peena naseeb ferma or humaiN Ap Sallalaho alaihi wa’alihi Wasalim ki shifaat naseeb ferma.

Ya Allah! humaiN mout ki sahti or qabar kay azab say bacha.

Ya Allah! HumaiN Mukir or Nakeer kay sawalat asan ferma.

Ya Allah! HumaiN Qiyamat kay rooz apna didar naseeb ferma.

Ya Allah! HumaiN Janat-ul-Fidous maiN jaga ata ferma.

Ya Allah! HumaiN Qiyamat ki garmi or dozakh ki agg say bacha.

Ya Allah! HumaiN or taam mouminaat or mouminaat ko hasher ki ruswai say bacha.

Ya Allah! Naama-e-a’amaal seeday hath maiN ata fermana.
Ya Allah! Apnay arsh kay sai (shadow) maiN jaga dena.

Ya Allah! Pul Siraat say bijli ki tarah guzarnay ki toufeeq ata fermana.
Ya Allah! HumaiN dono jahaN maiN Rasool Sallalho alai Wa’alihi Wasalim ka ghulaam bana kay rakhna.

Ya Allah ! Meraty waqat Kalima zubaan pay jaari ho.

Ya Allah! HumaiN apna shukar guzaar bandooN maiN shamil karna.

Ya Allah! Hum saab ki tobah qabool perma…( Toba sachi or paki karnay ki toufeeq day)

Ya Rubi! Ya Allah! HumaiN walidaan ka ferma berdaar bana, Saab haqooq ada karnay ki toufeeq ata ferma.

Ya Allah! Haab saab ki mushkilaiN asaan ata ferma, hum saab ko hadayat day.Humaray dillooN say APNAY siwa saab kay daar nikaal day, Ya Allah! HumaiN acha musalmaan bana day.

Ya Allah! Ya Rub-e-Izaat, Mangna nahiN ata, Ya Allah bin managay ata ferma day, Jo manga, jo na maang sakay, saab ata ferma day. JinhooN nay duaaoN kay liya kaha ho, unki saab jaiz hajat poori ferma.

Ya Allah! :teary1:

& at least jo Hadith maiN duaiN atiN haiN kaam az kaam wo to zaroor paaR leni chahiaN.
Jesay,

Rabana Atina fidunia hasanah…

&

Rabi Zidni Ilma…

&

Astagfullah Wanatubu elahi..

& if there’s any mistake, may Allah Almight forgive me. ameen

very nice , " life is fragile handle with prayer" :)