Ramzan ka ba’barkat maheena aek baar phir hum sab par apni tamaam-tar rehmatoN ke saath saaya-fazl huwa chaahata hey. GS ki poori team ki jaanib sey aap sab dostoN ko is maah-e-mubaarak ki aamad bohat bohat mubaarak ho. Rab-ul-Izzat sey duwa hey ke wo hum sab ko rehmatoN ke is khazaaney sey mustafeed hone ki saa’aadat naseeb farmaey. Aameen
lonely Ki JaNIb se tammaM muslim bhaiOon ko ramazan ka mahina mubarak ho ~~~
Hum Sab Ki Khush Kismati Hai K Hamein Yeh Paak Aur Ba Barkat Mahina Apni Zindagi Mein Aik Baar Phir Mila To Iss Ki Qadar Kartay Huay ALLAH Hum Sab Ko Naik Aamaal Karnay Ki Hidayat De Amin Aur Apnay Tammam tar Gunah Jo Hum Ne Jaan Boojh Kar Aur Jo Nadanistagi Se Hum Se Huay Un Ki Maafi Maang Kar Apnay** RAB ALLAH** ko Khush Kar Sakein Amin ! Sum Amin!