Ramzaan - ek Shekwah

Bazaar abaad hain bas roshan Masjidain
ta’eeon-e-zindagi mai hain kuch hujatain

Nafay aur nuqsaan mai hain kuch Galtiyaan
Rang barangay logoun ki hain yeh Boliyaan

Waqt rukta nahi mushkil a janay say
Bahr O Dirya tehertay nahi intezar may

Youn to Rub ki makhloq mai hain hasheriyaat
Sirf insan ko milay gaa yeh shurf-e-mulaqaat

Ramzan he to hai woh shaaher-e-roshan
madhum hoa nahi kabhi yeh deen-e-roshan

Tahir

nice :-)

nice nahi,koi 1 shyr appki taraf say bhi ho jaye meray ‘Bachay’ :hehe:

yar mujhay sher o shari nahin aati :D

Very nice:k: :flower1:

Adaab ! :roman:

Re: Ramzaan - ek Shekwah

:jazak:

^ Shukeriya Capricorn :smooth:

Nazi83 ! I believe you have written a poem for this thread,we are all anxiousley waiting for you to post,please go ahead and post..:rolleyes::roman:

Nice one Raindance :k:

churn out some on Eid bhai saab :smiley:

Shukerya ! I’m working on it too :blush: Rozay mai sirf “kabab roll”
per he Shayr sujai daita hai,:rotfl:

Her rozay mai hai ek samander ayaan
puray ramzan mai hai kaiynat afshaan

Rooktay nahi haath duniya samaitnay mai
Tham-tay nahi qadam manzil paanay mai

Aur youn phir pohnchay jab eik aisi jaga :eek:
Hosh hum patain hain es maikhanay mai

nah maal ki hai kami aur na nafa-nuqsaan
Allah ki rehmat hai her momin ka anjaam
Tahir

Achi Soach :slight_smile: Mashallah :flower1:

ramzan ka mahina aya hai
barkatain ,naimatain laya hai
taak raton mai ab roshini dhondhian
samandar mai jasiey motee dhondhain
tOba karein ,duayain mangian
usee kai agey sar jhukayin
Khushian dhondhian,rehmatain chayeein
apney khudha sai lu lagain
JO mangain usee si a mangain
JO chayen usee sai chhayein
usee kai agey sar jhukayin
usee kai agey jholliii phelayein
Jholian woh humaree muradon sai bhar dey
hum par bhi apna nazre karam kar dey
behtey hoi aswaon ko tham lai woh
hum ko yun aajazii ka mukam dey woh
usee kai agey sar jhukayee hoi hain
apney gunhaon par pashtayee hoi hain
usse sai bakhshish kai talab gar hain
rehman o raheem hai woh,hum gunha gar hain
Anu*

Dua...

burayon sai bachana hum ko
seedhi raha dekhan hum ko
afatoon musibaton ko dur bhagna
sachi rah par chalana hum ko
baron ki izat,choton sai pyar karein hum
waldeen kay farmabardar baney hum
Ghunahoon sai paak rahein hum
tere kaboliat kai talab gaar rahein hum
rehamten tere barastee rahin hum par
barkatain nematain patey rahen hum
msukurahatian or khushian bantain
aisa insan banana hum ko
naik amal kartey rahiin hum
sacha muslamman banan hum ko
maafii kai talb gaar rahein hum
apney gunahon par sharamsar rahein hum
dozakh ki aang sai bachana hum ko
jantion mai shamil karana hum ko
Anu*

Bohat khoob Annu jee :hehe: :mash:

Keep it up Annu :)

RD: :)…par app hans kuin rahy hian :confused:
GS: thank u :slight_smile:

^ pata nahi,:konfused: app adat samajh ker maaf ker do Please !! :bummer: