Re: Ramdan Ul Mubarak Mein Kya Parhein
Ahista aahista sab kuch biyan keroon gi aur yeh ham bata dein k yeh infi wagairah aik book se mill rhai hai sum books ko dekhne k bad mags se milne wlai info woh share ekr rahay hain baqi baad mein pehle wazaif ab aik biyan keroon jo k pehli shab Ramdan mein kaam aaye gi
**Wazaif
Mah e ramdan Ki Pehli Shab baad nimaz e Isha Aik martba surah Fateh Parhna Bohat afzal hai
Aizan Mah-e-Rama ki pehli Shab Baad nimaz e Tahajad AAsman ki traf munh ker k 12 martba yeh dua parhni bhi bohat afzal hai
LAILAHA ILLAL'LAHU-HULHAYIULQAYUM MULQAAAAASIMU,ALLAKULENAFSIN BIMA KASABAT"
in wazaif k parhne walay ko beshumar naimatein Allah paak ki traf se ata ki jayein gin
ayzan mah e ramdan ul mubarak mein rozana her nimaz k baad duye magfirat ko teen martba parhna bohat afzal hai
Ramdan shareef mein her nimaz isha k baad rozana teen martba kalma tayiba parhne ki bohat fazeelat hai awal martba parhne se gunahon s emagfirat ho gi,dusri dafa parne se dozakh se aazad ho ga,tisri martba parhne se janat ka mustahiz ho ga
ab ahista ahista Shab e qadar ki khasusi ibadaat ko bhi share ekrien gay plz duwaon mein yaad rakhiye ga hamein Fi aman Allah **
**Aitekaaf
Ahadeez Mein manqool hai k jab Ramdan Sahreef ka akhri ashra aata to Nabi kareem {S.A.W.} k liye masjid mein aik jagha makhsoos ekr i jati aur whaan koi parda chitayi wagairah dala diya jata ya koi khaima nasab hota, Ramdna ul mubarak k 20 tareekh ko fajar ki nimaz k liye aap masjid tashreef le jatay thay aur Eid ka chand dekh ekr whana se bahir tashreef latay thay,jis ne Ramdna shareef k akhri ashray mein dus din ka aitekaaf kiya to woh aitekaaf masla 2 HAJJ 2 Umron k ho ga yni itna sawab mile ga**
**Laila tulQadar ki azmat o fazeelat k baray mein Quran farmata hai k hum ne Is Quran ko lailatuqadar mein nazil kiya,aur tumhein kya maloom k lailtulqadar kya hai,lailatulqadar hazar maheenon s ebehter hai is mein farishte aur arwah ul almeen her kam k liye apnay Rab k hukam s eutarte hain ye rata talu e subh tak aman aur slamti hai Surah alqadar para numbe r30
Hadrat abu hareerah se ruwayat hai k Rasool Allah {S.A.W.} ne irshad farmaya sirf khana peena chor dene ka nam roza nahi hai asala roza to yeh hai k aadmi behuda aur bekaar baton se bachay,Pus aye roza daro agar tuje koi gali de ya jahalat pe rutar aaye tto to keh de main rozay rkahe hue hoon yani mushtail ho ke rjawbai akrwayi mat ker,Allah tala ham sab ko ramdan yl mubarak ki rehmaton se faizyaab hone ki taufeeq o himat ata akre aameen sum aameen**
**Nimaaz e Tarawee
Ramdan ul mubarak main rozana Nimaz e Isha k farz aur sunton k baad Nimaz e Tarawee ki 20 raktein dus salam se parhein
Pehli rakat mein Surah fatehaa k baad Surah feel,Dusri mein Surah Quraish,Tisri mein Surah maaun,Chothi mein Surah kausar,Panchween mein Surah kaferoon,Chati mein SAurah nasar,satween mein Surah lahab,Aathween mein Surah akhlas ,naween mein Surah falaq,Dusween mein Surah naas parhein phir 11ween mein Surah feels eshuru ekrien is trah 20 rakat ein surah naas parhni hai her rakat mein surah fateha parhni hai aur her 4 baar slam pherni hai mena uper wlaay tareeqa jo biyan kiya wiase 11 rakat s estart kerna hai nimaz tarawee k baad Witar aur nafal parhein Nimaz e Tarawee parhne ka behaad sawab hai**
**Tasbee Nimaz
Tasbee Nimaz bohat he fazeelat wlai nimaz hai,Is Nimaz ko banda rozana parhe,Agar rozana na parh sakye to haftay mein aik martba parhe aur agar haftay mein bhi aik daffa na parha ja sake to he maah aik daffaparhe agar yeh bhi mumkin na to to saal mein aik daffa zaroor parhe warna apni zindagi mein aik martba zaroor parhe aur agar saal mein aik daffa pare to Mah e Ramdan baroz JUMMA nimaz e zoher se qabal perhni afzal hai tareeqa parhne ka next msg mein **