Rait pay likh k mera naam mitaaya na karo
Aankhein such bolti hain pyaar chupaya na karo
Loog har baat ka afsana bana laitey hain
Sab ko halaat ki rudaad sunaya na karo
Ye zaroori nahi har shakhs maseeha hi ho
Pyaar k zakham amanat haiN dikhaya na karo
Shehar-e-ehsaas main pathraao bohat hain ~Mohsin~
Dil ko sheeshay k jharokooN main sajaya na karo…
*