Rait par likh k mera naam mitaya na karo
Ankhain sach bolti hain pyar chupaya na karo***
Log har baat ka afsana baana lete hain
****** Sab ko halaat kii rudaad sunaya na karo
****** Yeh zaroori nahi har shakhs masiiha hie ho
****** Pyar k zakhm amaanat hain dikhayaa na karo
Shahar-e-ehsaas main patharaav buhat hain ‘Mohsin’
****** Dil ko sheeshe kai jharonkhon main sajaya na karo