What are some of the pitfalls ?
What are do's and what are don'ts of Muslim parenting in West ?
How to save kids from peer pressure of dating at very early age , smoking, drugs, gangs ?
What kind of activities the kids should be encouraged to take part in and which ones to avoid ?
Should kids be allowed to go to mixed gatherings when they become teenagers ? Are there different rules for boys and girls in this regards ?
What about gender roles and issues related to them for Muslims kids in the West ?
As Usual The great Mirch bhai whom posts I admire. I enjoy your very sweet and friendly way of humorous post.
Zabardast thread. Jitni tareef ki jaay kam hain.
Its a very important thing to think about our kids living in these countries.
Itna asan naheen in mulkon main rahna.
Mera khiaal hai yay hamain imigration is liaay detay hain kay yay hum say hamaray buchchay cheen letay hain. I mean physically naheen balkay emotionally.
Cheen kar apnay mutabiq bana letay hain agar hamaray buchchay mukum tor par inmain naheen dhaltay to hamaray buchchon kay buchchay to mukuml tor par dhal jaain gay. Jo hum sub musalmanon ko samajhna hai.
Agar hamaray buchchay inkay rung main rung jaatay hain to hamara dunia main anay aur musalmaan honay ka muqsaad hi faut ho jata hai.
Hum kaheen kay naheen rehtay na deen kay na dunia kay. Her tarha say hamara loss hota hai.
Kis tarha?
Is tarha kay hum parents honay ka huq naheen ada kar patay jo hamara farz hai aur Allah nain hamain aulad di hai to hamari zimmaydari hai.
Agar hum nakaam hotay hain ro Allah ko jawab to dena hi ho ga aur dunia main hamari chori huwi aulad agar rung gai inkay rung main to hamaray liaay dua e khair bhi naheen karay gi yani hamara sadqa e jaria ka koi silsila naheen rahay gay.
Yay to tha ibtedaia.
To the point.
Zabardast sawalat Mirch bhai many thanks kay aap nain poocha aur mujhay mauqa mila apnay khiaalaat kay izhaar ka.
What are do's and don'ts of muslims in parenting in muslim world?
Pehlay to yay samajhna ho ga hamaray faraiz kia hain as a muslim.
Phir
Hamaray faraiz kia hain as a parent.
Sub say pehlay to jinko Allah nain aulad ki naimat say nawaza hai unko Allah ka lakh laakh sukr ada karna chahyay kay Allah her kisi ko is qabil naheen samjhta kay aulad naseeb karay.
So wo tamaam parents khushnaseeb hain jinko Allah nain chuna aur aulad ki naimat say nawaza.
Wo auladain khuwaah sirf larkion hon, larkay hon ya donon hon.
Aisay hi naheen Allah nain chuna ub chun lia hai to aap pay bohat bari zimmaydari aaid kar di hain kay dhung say ussay palain warna Allah aulad to janwaron ko bhi deta ho jo kuch arsay baad apnay buchchon ko chor kay chaltay buntay hain ya buchchay khud kaheen chalay jatay hain.
Paal to Allah unko bhi deta hai yani janwaron kay buchchon ko jinko unkay parents chor kar chalay jatay hain. Allah bin parents kay insanon kay buchchon ko bhi paal sakta hai jo uskay liaay koi bari baat naheen.
Laikin jub us nain buchchon ko parents say nawaz hai aur parents ko musalman honay ki taufiq di hai to hamain us ka farz bhi nibhana hai.
Allah nain buchchon ko parents is liaay diaay kay wo unki islami khutoot pay taleem or tarbiaat kar sahi ghalat batain.
As a muslim do's:
Sub say pehlay Islami taleem shuru karay buchchay kay paida hotay hi. Hansi aa rahi ho gi kay pehlay din say kiasy ho sakti hai. Aray sirf pehlay din say hi naheen pregnancy say hi taleem shuru karain. Roza namaz karain khoob pregnancy kay dauraan buchchay pay asar paray ga.
Oh sirf pregnancy say naheen balkay hehe I can't say when you try to do something to concieve do dua when you both having ........(you know what I mean) koi quran main dua bhi hai. Jis ka shayad matlab hai Allah naik aulad day shaitan say bacha kar rakhay. Aap aisay hi dua bhi kar saktay hain.
Us dua ka bhi asar buchchay pay hoga.
Pehlay din say buchchon ki tarbiaat shuru ho jati hai Islam aisay kay kaan main azan di jati hai.
Buchchay kay pehlay din say tilawat lagain. Aaj kal MP3 protable miltay hain. takay buchchon kay kan main jatay rahain tilawat.
Buchchay pehlay din say sub kuch kartay hain baron ki tarha per sirf bolnay say mahroom hotay hain. Is tarha wo familiar ho jain gay I mean tilawat sun kar.
Baqi ainda.