rabia's (merged)

Eak aur Khubsuret Poem 4 u guys,…

bhool shayed bohat baRi kar lee
Dil nay duniya say dostii kar lee
Tum muhabbat ko khel kahatay ho
Ham nay barbaad zindagee kar lee
Us nay dekha baRi inaayat say
AaNkhoN aaNkhoN maiN baat bhee kar lee
Aashiqi maiN bohat zaroori hai
Bewafai kabhi kabhi kar lee
Ham naheeN jaanate CHiraGHoN nay
KyoN andheroN say dosti kar lee
DhaRkanaiN dufn ho gaee hoNgee
Dil maiN deewar kyoN khaRi kar lee

khoob:)

Somebody posted this b4.
But as I say.....
Achi cheez baar baar paro:D

Nice :k:

:k:

bahutkhoob!

Lovely!

Milhan Hm kabhi!!!!

[thumb=B]saad%20ullah%20shah.JPG[/thumb]

Woh Kehta hai,....!!!!

here's another kool poem,.......

[thumb=B]wOH%20KEHTA.JPG[/thumb]

zabardast!

wah bahut khoob!

sad..:(

zabardast:k:

Masha Allah

Touchy!

Love!

i hope u like this one 2,...:)

[thumb=B]love1.JPG[/thumb]

Aj Ka lerka

aj kay kay lerkay,.....:D:D:D:D

[thumb=B]Larka.JPG[/thumb]

World Cup 2003 ka marsiya!!

World Cup 2003 ka marsiya!!

Hum saat samandar paar gaey

Afsos magar hum haar gaey!

Australian hum se jeet gaey
England se hum khud haar gaey
Aur Indian hum ko maar gaey

Hairat hai...kaise haar gaey?!

Kenya bhi zidd par arr gaya
Zimbabwe bhi aagay barh gaya
New Zealand bhi ab to sudhar gaya
Hum hi har baar nakaam gaey

Afsos magar hum haar gaey!

England bhi nakaam chala
Africa ka naa koi naam chala
Naa apna Inzimam chala
Sab apne watan sadhaar gaey

Afsos magar hum haar gaey!

Saeed saa balle baaz bhi tha
Shahid apna shehbaaz bhi tha
Waseem bhi apne paas hi tha

Afsos magar hum haar gaey!

Waqar halaat badal naa saka
Waseem ka jadoo chal naa saka
Shoaib Akhtar dey phal naa saka
Sab saamne India ke bekaar gaey

Afsos magar hum haar gaey!

Har dil gham se maghmoom hua
Jab duniya ko maloom hua
Pakistan CUP se mehroom hua
Aur CUP ley kar aghyaar gaey

Afsos magar hum haar gaey!

Woh pyaare mousam beet gaey
Bekaar humare geet gaey
Hum haar gaey woh jeet gaey
Woh khushiyon se sarshaar huay

Afsos ke hum sharam saar huay!

Likhi thi mein ne ek nazam
Inaam yaafta kehlaey hum
Bekaar mere ash'aar gaey

Kyunke logon! hum haar gaey...

Hum saat samandar paar gaey
Afsos magar hum haar gaey!

:wink:

:rotfl: :hehe:

nice one ! Rabiya :slight_smile:

Re: ßhòòl §håýëÐ ßòhå† ßå®î kå® lëë . . . ! ! !

Buhat hee sundar :flower2: