----raaz na ayegi duniya hame...----

raaz na ayegi duniya hame, manzil ka na hai koi theekana…
phir kyu chale hai bebas hoke, age pata nahi kya ho phasana…

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai, Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin, Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein, Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr’, Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai, Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai

raaz na ayegi duniya hame, manzil ka na hai

koi theekana…phir kyu chale hai bebas hoke,

age pata nahi kya ho phasana…

kya kahe aapko hum? khud nahi samaj pa rahe,

kaise bitaye har pal, dar hai kahi hum bichad na jaye,

mulakat ka vada manzoor hai hame,

doa boond ansuome, khushi bhi aap laye,

binti karte hai aapse, kabhi na kho jana sanam,

saath chalenge yehan, hamari hai kasam

yeh pyar hai samaj na lena sanam..

phir bhi ikrar karte hai…aapki kasam

aage jo nikalte hai moodke nahi dekhte,

kasam chahe lakh koi de,irade nahi badalte,

ishq badi jalim cheez hai, har sham hasin lage,

lage jaise koi sanam, kareeb ane lage,

dur hi sahi, mere hai ye pal,jee rahe yadomein,

kalki kise khabar

khuda jane kyon par voh dilmein samaye hai,

na dekha unhe na jana par voh ab na paraye hai,

chalna hai saath manzil malum nahi,

dilki pukar hai, yehin hai voh kanin

well…??? how is it.:slight_smile:

goood :D

well.....
good post janu
but just a little advice...
write shairs like shairs :)

well thhs true though saby it doesnt lok like a shayar :D