----Raaz ki baatain likhi ----
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvayon ka silsila rehnay diya !
Umar bhar merey saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samjhta tha khushi degi mujhay `Sabir’ fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvayon ka silsila rehnay diya !
----Hai ikhtiyar----
Hai ikhtiyar mei tere tu maujza kar de
Woh shaks mera nahi hai use mera kar de
Yeh rah woh mera sabar dekhe
Mujhe chiraagh bana de use hawa kar de
Akeli shaam bahut hi udaas karti hai
kisi ko bejh koi mera hum nawa kar de hanzala
----Na me paas usko bula saka----
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Wo hansi hansi mehi chal dya mein hath tak na mila saka
Mujhe kia khabar wo kya hua mujhe kitna gehra khumar tha
Mein Kharra tha uske hisar mein mere ird gird ghubar tha
Yunhi sochta raha der tak magar usko na kuch bata saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi rats se
Hai bacha hi kia jo wo le gaya mujhe chin kar meri zat se
Ye maqam hi tha ajeeb sa ke mein khud ko bhi na pa saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Ye bhi thik hai wo chalagaya mujhe band raste pe chorr kar
Ye bhi thik hai ke na aye ga kabhi but ana ka torr kar
Wo juda bhi kaise hua ke mein koi rasam bhi na nibha saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata sak.
----KHOON -E- DIL SE LIKHA KABHI----
KHOON -E- DIL SE LIKHA KABHI
Khoon-e-dil se likha kabhi
Kabhi aansooun se likkha
Harr ek lavz maine mehsoos karke likha
Tu aaya aur sab kuch mitakarr chala gaya
Mere dil ka khoon karke … mere aansooun ko chalka karr chala gaya.
----Tum Na bhula paoge mujhe----
tum maree ankh keh taiver na bhula paoo gey,
unkahee baat ko samjho gey to yaad ayoon gi.
hum nai khushioon ki tarah dukh bhee akhathe daikhe,
safah e zeest ka palto gey to yaad ayoon gi.
is judayee main tum ander seh bikher jao gey,
kisi mazoor ko daikho gey to yaad ayoon gi.
isi andaz main hote they mukhatib mujh seh,
khat kisi aur ko likho gey to yaad ayoon gi.
maree khushbu tumhe kho lai gee gulaboo ki tarah,
tum ager khud seh na bolo gey to yaad ayoon gi.
sard ratoon keh mahektey howe sanatoon main,
jab kisi phool ko chumo gey to yaad ayoon gi.
aaj to mehfil e yaraan peh ho maghroor bohat,
jab kabhee toot keh bikhro gey to yaad ayoon gi.
aab to yeh ashk main hontoon seh chura laita hoon,
haath seh khud inhein poncho gey to yaad ayoon gi.
shaal pehnaye ga aab kon december main tumhe,
barishoon main kabhee bheego gey to yaad ayoon gi.
hadse ayein gain jeevan main to tum ho keh nidhaal,
kisi deevar ko thamo gey to yaad ayoon gi.
is main shamil hai mere bakht ki tareeki bhee,
tum sia rung jo pahno gai to yaad ayoon gi.