**Raaz-e-Ulfat chupa k dekh liya
Dil bohat kuch jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baqi hai
Aap se dil laga k dekh liya
Woh mere ho k b mere na huwe
Unko apna bana k dekh liya
Aaj unki nazar mei kuch hum ne
Sab ki nazren bacha k dekh liya
’Faiz’ taqmeel-e-Ghum b ho na saki
Ishq ko aazma k dekh liya
Aas us dar se Toot’ti hee nahe
Jaa k dekha‚ na jaa k dekh liya…,**