raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa

**raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa **
**dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa **

**aur kyaa dekhanay ko baaqii hai **
aap se dil laga ke dekh liyaa <O:p

**wo mera hoke bhii mera na hue **
unako apanaa banaa ke dekh liyaa <O:p

**aaj unakii nazar me.n kuchh hamanay **
sab say nazare.n bachaa ke dekh liyaa <O:p

**aas us dar se TuuTatii hii nahii.n **
jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa <O:p

‘Faiz’, taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
**ishq ko aazamaa ke dekh liyaa **

Faiz Ahmed Faiz<O:p*

Re: raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa

very nice!

Re: raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa

:k: