*raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa *
*dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa *
*aur kyaa dekhne ko baaqi hai *
*aap se dil laga ke dekh liyaa *
*wo mere hoke bhi mere na hue *
*unako apnaa banaa ke dekh liyaa *
*aaj unki nazar main kuchh hamne *
*sabki nazaren bachaa ke dekh liyaa *
*‘Faiz’, taqmeel-e-gham bhi ho na sakee *
*ishq ko aazamaa ke dekh liyaa *
*aas us dar se tootati hi nahin *
*jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa *
~~~~**~~~~
Faiz Ahmed Faiz