Nazam
1
raaz dil mei’n chhupaa liyay kitnay
dard andar basaa liyay kitnay
mukhlisaana rawish kay sadqay mei’n
hum nay dushman banaa liyay kitnay
mujh say khud bhi na yeh hisaab huwa
mai’n nay aa’nsuu bahaa liyay kitnay
bujh gaya dil’ bas ab andhaira hai
zakhm chaahay ujaaliyay kitnay
un ko mujh say na thhi kabhi raghbat
aur bahaanay banaa liyay kitnay
saa’ns ukhRi to yeh huwa m’aaloom
gham jahaa’n kay uThha liyay kitnay
hum nay jhooTi sataa’ishai’n kar kay
loge sar par chaRhaa liyay kitnay
bay ijaazat badan mei’n aatay hii
ra’nj nay ghar banaa liyay kitnay
mairi wafa ki khawahish mei’n
phir rahay hai’n jafaa liyay kitnay .
Dilsay
4
Re: Raaz dil mei'n chhupa liyay kitnay.
[QUOTE]
*Originally posted by Nazam: *
raaz dil mei'n chhupaa liyay kitnay
dard andar basaa liyay kitnay
mukhlisaana rawish kay sadqay mei'n
hum nay dushman banaa liyay kitnay
**
mujh say khud bhi na yeh hisaab huwa
mai'n nay aa'nsuu bahaa liyay kitnay
bujh gaya dil' bas ab andhaira hai
zakhm chaahay ujaaliyay kitnay **
un ko mujh say na thhi kabhi raghbat
aur bahaanay banaa liyay kitnay
saa'ns ukhRi to yeh huwa m'aaloom
gham jahaa'n kay uThha liyay kitnay
hum nay jhooTi sataa'ishai'n kar kay
loge sar par chaRhaa liyay kitnay
bay ijaazat badan mei'n aatay hii
ra'nj nay ghar banaa liyay kitnay
mairi wafa ki khawahish mei'n
phir rahay hai'n jafaa liyay kitnay .
[/QUOTE]
This is really beautiful..... thanks
beautiful Nazam:k::k:
thanks:)
Lamhay
13
bahut khoob thanks 4 sharing!