raaton mein gar .......

raaton mein gar na ashk bahaa_uun to kyaa karuun
ik pal bhi us ko bhuul na paa_uun to kyaa karuun

main ne sunaa hai un ko andhere nahi pasand
raahon mein ab main dil na jalaa_uun to kyaa karuun

tumhain kaho ki chhod de jab zindagii bhi saath
phir maut ko gale na lagaa_uun to kyaa karuun

sochaa to thaa ki chho.D duun us kii galii ‘Murad’
lekin kahin qaraar na paa_uun to kyaa karuun

Re: raaton mein gar .......

very nice poem nicky.

Here's something. of the same sort.

kaam aa saki na apni wafaaein to kya karein
ek bewafa ko bhool na jaein to kya karein
shab bhar to unki yaad mein taaray gina kiye
taaray se din ko bhi nazar aaein to kya karein

Re: raaton mein gar …

wonderful :k:

Re: raaton mein gar .......

nice

Re: raaton mein gar …

Nice sharing Sunny..:k:

Re: raaton mein gar .......

thx alll of u

niceeee aabla paa