Raaton mein gar na ashk bahaoun to kya karuun
eik pal bhi us ko bhul na paaun to kya karuun
** main ney sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon mein ab main dil na jalaun to kya karuun**
tumhin kaho kay chhor dey jub zindagi bhi saath
phir maut ko gale na lagaun to kya karuun
** socha to thaa ki chhor duun us kee gali ‘Murad’
lekin kahin qaraar na paaun to kya karuun**