raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

raaton main gar na ashk bahaaun tu kya karun
ik pal bhi us ko bhul na paaun to kyaa karun

main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon main ab main dil na jalaun tu kyaa karun

tumhi kaho k chorr de jab zindagi bhi saath
phir maut ko gale na lagaaun tu kyaa karun

sochaa to thaa k chorr dun us ki gali ‘Murad’
lekin kahin qaraar na paaun to kyaa karun

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

Bohat umda Ahmi :k:

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

very good ahmi.......

Thanks Moderator Sb.

Thanks!

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

Good One Ahmi...

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

sabr o hosla hee munasib hey iss soorut e ahwaal mai sahib!

Bohat hi acha intikhab hai ap ka.

Thanks! :)

:barbie:

Thanks!!!!!

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon main ab main dil na jalaun tu kyaa karun

veryyy nice

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

dill kiyun jalana hai, bulb or mom-bathi se kaam chala loo :@:

FT apne bhi kaheen na kaheen koi na koi bongi zarur marni hoti hai. acha bhala uska tempo bana hua tha. sara tord dya

hahahahaha

:)

wesay agar dil jal gya hai tu fire brigade bula k aag bhujao

:)

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

Dill Jalaaaaay..... Dill Jalaaaaay.... yahan tou sab hi dill jalay hain ;)

btw it was not a bongi. It was very wise approach. when you have alternatives then why to chose the one that will hurt the most :@: - Hence use candle or bulb or emergency light but not dilll... :p

Thanks abeeha...

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

nice sharing :)

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

Thanks Danie.

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

Dil jalanay ki baat kertay ho
Kis zamanay ki baat kertay ho
pani aane ki baat kertay ho
Main ne do din se moun nahi dhoya
tum nahanay ki baat kertay ho
:)
Jahan tak baat hai FT ki to agar us kay bas main ho to saampon aur mandakon main hawa bhar ker bachon ko do do rupay main baychay. :D

Re: raaton main gar na ashk bahaaun to kyaa karun

sochaa to thaa k chorr dun us ki gali ‘Murad’
lekin kahin qaraar na paaun to kyaa karun
:teary2: