Raat sunn saan dasht-o-dar khamosh
chaand sitaare shajar hajar khamosh
har taraf ek muheeb sannata
dil dharakta tu hai magar khamosh
huay jaate hain kis liye aakhir
ham safar baat baat par khamosh
hain ye adaab-e-rah_guzar ke khauf
raah_rau chup hain raahabar khamosh
mukhtasar ho na ho shab-e-tareek
ham ko jalna hai raat bhar khamosh
jaane kya baat kar rahe thay ki ham
ho gaye ek naam par khamosh
By: Himayat Ali Shayar