***rooh ko hijr k kanto’n se guzare to sahi
wo to khud chahta he koi pukare to sahi
phir ye dekhen k bhala kon he kitna gehra
dil koi gehre samandar me utare to sahi
wo meri tarha riazat to kare marne ki
wo meri tarha tamanaon ko maare to sahi
phir me hansti hui ik subho usay la kar doon
raat wo mere liye ro k guzare to sahi
zindagi jang he iss jang ko jitay to sahi
zindagi khel he iss khel me haray to sahi***