_Nazish
1
*raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
chaaNd sitaare shajar hajar Khaamosh
ko_ii aavaaz-e-paa na baang-e-jaras
kaaravaaN aur is qadar Khaamosh
har taraf ek muhiib sannaaTaa
dil dhaRakataa to hai magar Khaamosh
huye jaate haiN kis liye aaKhir
ham_safar baat baat par Khaamosh
haiN ye aadaab-e-rah_guzar ke Kahuf
raah_rau chup haiN raahabar Khaamosh
muKhtasar ho na ho shab-e-taariik
ham ko jalanaa hai raat bhar Khaamosh
jaane kyaa baat kar rahe the ki ham
ho gaye ek naam par Khaamosh.*
SuraJ
2
jaane kyaa baat kar rahe the ki ham
ho gaye ek naam par Khaamosh.

WiseGuy
3
Bohat khoob ~Nazish~ Je.
Thank you sharing
chodhry
8
Re: Raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
*huye jaate haiN kis liye aaKhir
ham_safar baat baat par Khaamosh
jaane kyaa baat kar rahe the ki ham
ho gaye ek naam par Khaamosh.*
[/QUOTE]
chodhry
9
Re: Raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
:k:
AQ
11
Re: Raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
chaaNd sitaare shajar hajar Khaamosh
ko_ii aavaaz-e-paa na baang-e-jaras
kaaravaaN aur is qadar Khaamosh
har taraf ek muhiib sannaaTaa
dil dhaRakataa to hai magar Khaamosh
huye jaate haiN kis liye aaKhir
ham_safar baat baat par Khaamosh
haiN ye aadaab-e-rah_guzar ke Kahuf
raah_rau chup haiN raahabar Khaamosh
**muKhtasar ho na ho shab-e-taariik
ham ko jalanaa hai raat bhar Khaamosh
jaane kyaa baat kar rahe the ki ham
ho gaye ek naam par Khaamosh.**
har koie hay khaamosh:)
thank you 
waisay khaamoshi, tanhaaie kee saathi hay
hay na?
Lamhay
12
Anwaar sahab khamoshi tanhae ka hi baksha hua tohfa hai :(
AQ
13
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Anwaar sahab khamoshi tanhae ka hi baksha hua tohfa hai :(
[/QUOTE]
kabhi kabhi insaan bahut boltaa hay tanhaaie say tung aa kar... bahut boltaa hay:) ulTaa seedha bhee. na jaanay kiya kiyaa.. bilkul khaamosh nahiN rehtaa. laikin tanhaaiyouN kaa zehr uss kee baatouN maiN bhee umaDD aataa hay aur woh jitnaa bolta hay, jitnii khokhli hansee haNstaa hay, har har lamhay mazeed tanhaaiyouN maiN doobta chalaa jaataa hay shayad..:)
issi liye shayad khamoshi ko tohfay maiN qabool kar lainaa chahiye laikin insaan bahut kamzor hay shayad aisay muaamlouN maiN... :)
Lamhay
14
[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

Bahut hi gehree baatian kartay hain ap
Jaisay main bahut bolti hoon tanhae say tang akar ... lolzz but :(
AQ
15
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Bahut hi gehree baatian kartay hain ap
[/QUOTE]
Mujhay bhee shayad khaamosh rehna chahiye :) lolz :-)
Lamhay
16
[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
Mujhay bhee shayad khaamosh rehna chahiye :) lolz :-)
[/QUOTE]
aieen ... ji khamoshi hazaroon bhaidh apnay ander Pinhaan karleti hai. :)
Azad
19
humm
Lab khamosh howay to yeh jana
Her dharrkan tera hi naam layti hay
Dharrkanain thum gain to yeh jana
Zindagi her pal tera hi naam layti hay
(Adab Arz)