*** Raat Kay Sanaatey***
***Raat Kay Sanaatey Mein Hum Ney Kya Kya Dhokhey Khaye Hain! ******Apna Hi Jab Dil Dhardhka, To Hum Samjhe Woh Aaye Hain! ******* ***Band Jharokhey, Sooni Galiyaan, Ya Phir Gham Kay Saaye Hain, ******Chaand Sitarey Nikley, Lakin Mere Liye Kya Laaye Hain! ******* ***Jis Dinn Se Tum Bicharh Gaye Yeh Haal Hai Apni Aankhon Ka, ******Jaise Do Baadal Saawan Kay Aapas Mein Takraye Hain! ******* ***Ab To Raah Na Bhoolo Gey Tum, Ab To Hum Se Aan Milo, ******Dekho, Hum Ney Palak Palak Par Sou Sou Deep Jalaye Hain! *** ***Haye Qateel, Is Tanhaai Mein Kya Soojhee Hai Mausam Ko, ******Jis Din Woh Paas Nahien, Us Din Se Baadal Chhaaye Hain!***Re: Raat Kay Sanaatey
nice one khamosh storm :)
Re: Raat Kay Sanaatey
thnx both of u :)
Re: Raat Kay Sanaatey
Zabardast MS very nice..........
Re: Raat Kay Sanaatey
thnx :)
Re: Raat Kay Sanaatey
Bohut khoob :k:
Re: Raat Kay Sanaatey
Jis din sey woh paas nahiN.. us din sey baadal chaaye haiN..
:-)
Re: Raat Kay Sanaatey
buhat achchay...shukar hay is main khud QATEEL ka naam hay..warna hasb e sabiq aap ko naam maaloom naheen hota :)