**Nam hain mairi palkain ay mauj e hawa Raat kay saath
Kiya tujhay bhi koi yaad aata hay Barsaat kay saath
Rot’thnay aur mana’nay ki hadai’n milnay lagee’n
Chashm poshi kay saliqay thay shikayat kay saath
Tujh ko kho kar bhi rahoo’n khalvat e jaan main terii
Jeet pa’ee hay muhabbat nay ajab maa’t kay saath
Neend laata hova phir AANKH ko dukh dayta hova
Tajrubay donoo’n hain vabasta teri hath kay saath
Kabhi tanhai say mahroom na rakha mujh ko
Dost hamdard rahay kitnay mayrii zaat kay saath
( Parveen Shakir )
**