Raat katti rahi chand dhalta raha
aatish-e-hijar main koi jalta raha
Ghar ki tanhayan dil ko dastii raheen
koi bechain karwat badalta raha
Aaso.o.umeed ki shamma roshan rahi
ghar ki dehleez ko koi takta raha
Raat bhar chandni gungunati rahe
raat bhar koi tanha sisakta raha
Ashak palkoon pe aa k bikharte rahe
nam lab pe kissi ka larzta raha
Aaj phir raat basar ho he gae
aaj phir koi khud se olajhta raha