Re: raat kaa khaanaa/weekend ka lunch family ke saath na khaanaa
bahot pate kii baat kahii aapne…ab to saleeqa bhii nahiiN rahaa khaane kii mez par baiThne kaa. ad… kia kareN aadateN chhoRnaa bhii to koii aasaan kaam nahiiN…joo e sheer laane ke mutaraadif hai!
aaaaaaaaaaawwwwwwwwww…dieting ne gharoN meN mushkilaat paidaa karnii shur’u kar dii haiN…ab yehii soorat e Haal paidaa ho rahii hai k ghar kaa koii na koii fard dieting par hotaa hai aur is taraH ham saath mil baiTh ke sunehre mavaaq’e kho baiThte haiN.
same jawaab as above. it’s sad but necessary for some though.