Raat ka ghaliban akhre tha peher
mujh say tanha sitara yon goya hua
hamnishin “alwidah”
mujh ko neend agayi
tum bhi sojao jakar kahin
kal milengay yahin
yeh sun kar me halka sa muska dya
usssko yeh batla dya
janay walay yahan lot’tay he nahi
tum na aoo gay kal
mujh ko hai yeh yaqeen
mere yeh baat sun kar wo ruk sa gaya
aur kehnay laga
tum say wadaa karon
aur pora na karon
yeh mumkin nahin
aey mere hamnashin
main to insaan nahi
Re: RAAT KA AKHRE PEHER
lovely!! boht khoob! =))
Re: RAAT KA AKHRE PEHER
nice!
Re: RAAT KA AKHRE PEHER
thanx
Re: RAAT KA AKHRE PEHER
Hmmmm Very Deep Thinking.Very Nice