http://www.highonhealth.org/wp-content/uploads/2008/12/sadgirl.jpg
**
Mudattain guzreen ke khabar nahe rehti
Badaltay huwe mausamoon
Aur aati jaati ruttoon ki
Aasmaan per chamakta poora chand bhi ab
Apni taraf nahe khainch paata
Raat gaye tak taaroon se
Haal-e-dil kehne ki aadat nahe rahi
Na hi din ko dair talak
Yuni lait kar jaagti aankhoon se
Tumhare khwaab dekhne ki khwahish rahi hai
Tumhare baad …
Khud ko bhi bhool jaane ki tag-o-dou mein
Masroofeyattaon ke jaal mein yun uljhi hoon
Ke kabhi kabhi gumaan sa hone lagta hai ke
Goya mein zindagi ko nahe balkay
Zindagi mujhe guzaar rahi hai …
**