Raat chaat per tanha beithi
Mein pooray chand ki
Tilasmi chandani main gum thi
Achanak
Chand nay meray kaan main
sargoshi ki
Aaj ki raat tum zamee’n per tanha ho
Aao tumhain mein aasma’n ki sair karwaoon
Phir woh meree ungali tham ker
Badloo’n say bani rawash per chal pada
Kuch sitaroo’n nay mujhay dekh ker
Hairat say palkein jipkain
Aor kuch mujhay
Chand k sang dekh ker muskura diyey
Chanda nay mujhay kaii
Khushboo k jazeeray dikhay
Kehkashaoo’n say mera taruf kerwaya
Dhanak rang paroo’n wali
Nani paryoo’n nay
Mujhay khushamdeed kaha
Yak dam
Hawa ka aik jhonka
Meray chehray ko choo ker guzra
Mein nay chonk ker aankhein khool dein
Dekha to chand
Badli ki aot say
Mujhay dekh ker muskura raha tha
Mein bhi apni nadani per
Muskura dii
Mager
Chand pagla kion muskuraya ?