Mujhe aarzo-e-sehr rahi younhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar saka na simat saka younhi raat bhar bari dair tak
Hai buhat azzab or akaily hum, shab-e-gham b meri taweel tar
Rahi zindagi b sarab or rahi aankh tar bari dari tak
Yahan har tarf hai ajab samaan, sabhi khud pasand sabhi khud nama
Dil-e-beqarar ko na mila kahin koi charagar bari dair tak
Mujhey zindagi hai aziz tar, isi wastey merey hamsafar
Mujhe ahista ahista day zehar jo karay asar bari dair tak.