Bay zameen logoN ko
Bay qaraar aankHoN ko
Bad naseeb qadmoN ko
Jis tarf bhee le jaayeN
RaastoN ki marzi hai
Bay nashaaN jazeeroN par
Badd gumaaN shehroN maiN
Bay zabaaN musaafir ko
Jis tarf bhee bhaTka deN
RaastoN ki marzi hai
Rok leN ya bhaRne deN
THaam leN ya girneN deN
Wasl ki lakeeroN ko
ToR den ya milne deN
TaastoN ki marzi hai
Ajnabi koi laa kar
Hamsafar bana daaleN
Saath chalne waaloN ki
RaakH bhee uRa daaleN
Ya musaafteN saari
kHaak maiN mila daaleN
RaastoN ki marzi hai
RaastoN ki marzi hai.
Wah .. one of my fav. :k:
Ajeeb itefaaq hay … raat baarish main bheegtay howay yeh nazm humaray saath saath rahi.
Islamabad pyar say pyara shehir hay, Baarish main chaltay howay Bari sarkar kay chawalon ka maza hi alag hoga hay.
Raat gay baruff bari nay to aisa saman bandh diya tha kay sari zindagi ke pehlay pyar ka ishaas samany rakhain tab bhi kum parr jay. Hum apni khush naseebi par naaz hi kartay rahain gay… keh allah nay aisay lamhon say humara damn e dil bhar diya hay … forget it hum bhi kahan ki kahan kar rahay hain.
Islamabad pyar say pyara shehir hay, Baarish main chaltay howay Bari sarkar kay chawalon ka maza hi alag hoga hay.
Raat gay baruff bari nay to aisa saman bandh diya tha kay sari zindagi ke pehlay pyar ka ishaas samany rakhain tab bhi kum parr jay. Hum apni khush naseebi par naaz hi kartay rahain gay... keh allah nay aisay lamhon say humara damn e dil bhar diya hay .......... forget it hum bhi kahan ki kahan kar rahay hain.
[/QUOTE]
at least yeh baraf ke naseeb mein t hai. hum karachi waloon ko to deepfreezer mein ya clokes ke glasses ke ilawa aur kahin baraf nazar hi nahin aati.