raastay, manzilaiN, justaju.. aur maiN

<o:p> </o:p>raastay, manzilaiN, justaju.. aur maiN
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN <o:p></o:p>koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN <o:p></o:p>jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN <o:p></o:p>khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh say
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN