**
http://a657.g.akamai.net/7/657/2865/v001/www.virtualflorist.com/en/act/images/items/rosevase_l.jpg
Ranjish hie sahi dil hie dukahnay kalieh aa
Aa phir se mujay chor kay janay kalieh aa
Kuch to meray pandar-e-muhabat ka bharam rekh
Tu bhi to kabhi mujay mananay kalieh aa
Pehlay se marasam na sahi phir bhi kabhi to
Raasm-o-raah-e-dunia hie nibhanay kalieh aa
Kis kis ko batayin gey hum judai ka sabab
Tu mujse khafa hai to zamanay kalieh aa
Ik umar se hoon lazat-e-ghiriya se bhi mehroom
Aai raahat-e-Jaan mujko rulanay kalieh aa
Ab tak dil-e-khush feham ko hain tujse umeedein
Yeh aakhri shamein bhi bhujanay kaliel aa