Raabta lakh sahi qaafla-e-salar k sath

Raabta lakh sahi qaafla-e-salar k sath


Hum ko chalna hay magar waqt ke raftar k sath


Gham lage rehtay hyn har aan khushi k Peechay


Dushmani dhoop ki hay Saya-e-dewaar k sath


Kis tarha apni Muhabat ki main takmeel karun


Gham-e-hasti bhe to shamil hay gham-e-yar k sath


Lafz chunta hun to mafhoom badal jata hay


EK na ek khof bhehay jur’at-e-izhar kay sath


Dushmani mujh say kiye ja magar apna bn kar


**Jaan lay lay tu gar Chaahay, magar pyar k sath… **

Bohat Alaa Momo Khan …:k:

Re: Raabta lakh sahi qaafla-e-salar k sath

Boht shukria** Babri..**