QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

This is dedicated to Malik Zulfi. Congratulations brother on your marriage. May you have a happy life:) YOu have been asking me for something like this for quite a long time. I don’t know if it is a justice to your love but my warm wishes to you bro. Khush Raho:)

QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN
WafaaouN kay sitaaray haiN, aNkhiyouN ki Nadiya maiN

Saath har pal ka chaspaaN hai, haathoN ki lakeeroN maiN
Rung chaahat ka ikhera hai, unn Ghazaal AankhoN maiN

Phool ka ho jaisay lams, unn gudaaz hoNToN maiN
ghaTaa ki hai hukumraani, unn daraaz baaloN maiN

SukooN kee hai kh’amoshi, PalkoN ki chilman maiN
dil ka bojh naheeN baaqi, baahoN ki aagosh maiN

Chehra jo meraa hai, unn Makhrooti uNgliyoN maiN
RuNgat anokhi hai, gulaabi RukhsaaroN maiN

Wujood maiN huvaa shaamil, wis’l ki unn raatoN maiN
maiN Ajnabi naheeN hooN ab, hai woh bhee A’ashnaaoN maiN

Anwaar Humsafar aisa hai, zindagi ki raahoN maiN
dhoop ho tau sayaa hai, Sa’ibaaN hai saawan maiN

**-Anwaar Qureshi **(Feb 02. 05)

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Beautiful ... Thanx

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

nice AQ :slight_smile:

congratz Malik zulfi :flower1:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Thanx Shab-e-Hijr

Khush Raho:)

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

MAshallah… :flower1:

And.. CONGRATS to Zulfi Bhai :hug:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Zulfi sahab.. Aapko Shaadi bahut bahut mubarak ho :flower1:

And AQ jee.. It’s lovely… A litlle bit different than the poems I read of you… Aksar aapki shayari mein ek udaasi si goonjti hai… Lekin this one is totally different… Just wonderful! :slight_smile:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Thanx Golden Scorpion and KhamoshNigahein :)

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

very beautiful :flower2:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

beautiful..:flower1:

thx for sharin.. and welcome back to GS :hula:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Malik sahab daad to khul kar deni thi yaar. Aesi bhi ky kanjoosi. Aap ke ‘cold’ response ney to maza hi kir’kira kar dia. HaalaNke bohat hi khoobsoorat aur meetthi si ghazal likhi hey Anwaar ney. Please don’t mind, just thought that this sort of a dedication should have been hailed in a more better way. Anwaar meri taraf sey to bohat saari daad qabool kareiN is khoobsoorat kaavish par :slight_smile: Aur Malik sab ki taraf sey meiN ye :flower1: aap ki khidmat mein peish karta hooN…shaadi ke is behtareen tohfey ke leey. So nice of you :slight_smile:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

nice one AQ kbhi koyal pe b kuch likh dya karo kam se kam warm daad tu milay ghi (na b dil kia tu)
:p but seriously v nice and malik sahab Cong....

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

I have thanked and appriciated him through PM. We had 8 to 10 PMs on this toppic. But u r right yahan main nain kanjoosi ka Muzahira kia hay.

Thanx Anwaar Bhai… Aap nain meri bari Daireena Khwahish poori ki … I really wanted u to write something otherthan ur usual style…

And Believe me that is a really soothing change in ur poetry …

Kabhi Kabhi moonh ka zaiqa badal lena chah’i’aiy … App per bhi iss ka acha asar parey ga

Main jis k liay aap say yeh ferma’ish ki thi Ussay bhi aap ki yeh effort bahaut achi lagi :blush:

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

wah bahut khoob AQ! and Congrats Malik zulfi!

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

sweet one, :) though ilfaaaz kuch mushkil use kiye hein. but thats hoiw I felt.

BTW, Anwaar bhai this sweet sexy gazal is dedicated to Zulfi bhai and I have never though that you might not be straight :p kahien aap ka silsila pathaanouN sey tu nahien milta :p (mazrat to pathaan guppies) ya un key saath uthna beithna tu nahien aaj kal :p

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

very nice Anwar saab & many many congrats to Zulfi G,,,,Aap sada hush raho

Re: QurbatoN ki lehraiN haiN, MuhabbatoN kay dariya maiN

Maazrat Qabool naheeN hay :snooty: