Qurb muyassar ho tou yeh poochain, dard ho tum ya darmaan ho
Dil main tou aan bassay ho laikin malik ho ya mehmaan ho
Duri, aag say duri behter, qurbat ka injaam hai raakh
Aag ka kaam ferozaan hona, raakh zaroor parishaan ho
Sauda ishq ka sauda ham nay jaan kay jee ko lagaya hai
Ishq ye sabr-o-sukoon ka dushman, paida ho ya pinhaan ho
Ishq wo aag kay jiss main tap ka sona kundan banta hai
Aag main tujh ko kuch nahi ho tou aa iss aag main bryaan ho
Sheher kay dasht kaho bhai sadhu, haan bhai sadhu sheher kay dasht
Ham bhi chaak giraibaan thehray, tum bhi chaak giraibaan ho
IBN-E-INSHA