qurb k na wafa k hotay hain
saray jhagray ana k hotay hain
woh hamara hai is terah say faiz
jaisai banday khuda k hotay hain
baat niyat ki sirf hay werna
waqt saray dua k hotay hain
bhool jatay hain ,mut bura kehna
log putlay khata k hotay hain
**woh bazahir jo kuch nahi lagtay **
**un say rishtay bala k hotay hain **