P_G
January 11, 2008, 3:40pm
1
qurb k na wafa k hotay hain
saray jhagray ana k hotay hain
woh hamara hai is terah say faiz
jaisai banday khuda k hotay hain
baat niyat ki sirf hay werna
waqt saray dua k hotay hain
bhool jatay hain ,mut bura kehna
log putlay khata k hotay hain
**woh bazahir jo kuch nahi lagtay **
**un say rishtay bala k hotay hain **
5 Likes
P_G
January 11, 2008, 3:46pm
3
Re: qurb k na wafa k.....
^ kee ho gaya aay sajnoo ?
Re: qurb k na wafa k.....
^
semg nehe ae koch beh :ASA:
Re: qurb k na wafa k.....
very nice :)
P_G
January 11, 2008, 3:51pm
6
Re: qurb k na wafa k.....
masoom muskaan > apne mushkil alfaz walee list Aq ko pm ker do ..samjh ajayee gee : P
redid> thanks : )
Azad
January 11, 2008, 3:56pm
8
Re: qurb k na wafa k.....
Log putlay khata k hotay hain
hummm
Re: qurb k na wafa k…
**woh bazahir jo kuch nahi lagtay
un say rishtay bala k hotay hain **
Ab zaida rishtay dari na Nikaloo
Aliyish
January 11, 2008, 4:11pm
11
Re: qurb k na wafa k…
_Masoom_Muskaan:
ye kon c wale bala he
BachaY its kinda Superlative degree yoke , for example if some one is very pretty , in urdu we may say it like Bala ki khubsurat hai which means she is very much pretty…..
Re: qurb k na wafa k.....
v nice PG :)
EEMAAN
January 11, 2008, 5:26pm
13
Re: qurb k na wafa k.....
Very nice..
Aceones
January 14, 2008, 10:38am
14
Re: qurb k na wafa k.....
very nice...
baat niyat ki sirf hay werna
waqt saray dua k hotay hain
as someone said:
magar meri dua'ain hain ik silsila
meri umeed hay mera hosla
mujhay mo'jazoon pay yaqeen hay!
mujhay mo'jazoon pay yaqeen hay!
Re: qurb k na wafa k.....
qurb k na wafa k hotay hain
saray jhagray ana k hotay hain
Thats nice, Thanks dear
Koyal
January 15, 2008, 10:43pm
18
Re: qurb k na wafa k.....
nice1 PG :)
Re: qurb k na wafa k.....
nicee
P_G
January 19, 2008, 7:29am
20
Re: qurb k na wafa k.....
Azad > app ko *putlay * main kia bat ghor talab mehsiis hoyee ?
Aliyish> ** zyada rishtay daree** na nikaaloon ? yaani KAM nikal saktee hoon ? : P
Aceones > aha app janab zinda hain ? kia haal chaal hain .? nice to see u here : )
nikami,koyal ,pk ,arslaan,eeman,svenstar,sunny ..thanx for liking : )